Aaj mujhe behne do,
Ruton ko rang badalne do
Isharon ko befikran jatane
do.
Shaam ka dhalta suraj jab
chahatein dekhega meri,
Katrake ek leher uski ragon
mein bhi daud jayegi.
Dhuan sa fail jayega charo-or
jab jalke badalon ke
anchal mein,
khudko chhupa lega voh
Magar aaj rokna nahin… aaj
mujhe manmani karne do!
Apni zulfon mein se ankh-micholi
khel rahe tumhare rukhsar..
Unhein meri ankho se
chhoo lene do,
Shararati ban raha hai
mann
Tumse takrane ke liye paon
mein, ek thokar zara lagne
do
Khoob samajhta hoon
dhadkano mein baj raha
yeh raag,
Main tumhare sang racha
raha hoon sabse khaas raas.
Yeh jo pyar ka sawan aya
hai, naye sapno ko khilne
do.
Chal toh raha hoon main,
thoda dhang uska badalne
do,
Boondo ko seene se
sarakne do… ziddi
khwahishon ko khula chhod
do.
Mujhe tum mein samane
do, tumhara har ehsaas
mehsoos karne do
Behekne do, chehekne do…
ladne-ladkhadane do…toot
kar bikhar jaane do…
Aaj mujhe pyar ke dariya
mein behne do!
Aaj mujhe behne do... ruton ko...